Shayari
vo jab mujh ko dekh rahi thi main ne us ko dekh liyaa thaa
bas itni si baat thi lekin baDhte baDhte kitni baDhi hai
sukut tark-e-taalluq kaa ik garaan lamha
banaa gayaa hai sadaaon kaa silsila mujh ko
سکوت ترک تعلق کا اک گراں لمحہ
بنا گیا ہے صداؤں کا سلسلہ مجھ کو
सुकूत तर्क-ए-तअ'ल्लुक़ का इक गराँ लम्हा
बना गया है सदाओं का सिलसिला मुझ को

vo jab mujh ko dekh rahi thi main ne us ko dekh liyaa thaa
bas itni si baat thi lekin baDhte baDhte kitni baDhi hai
ek usi ko dekh na paae varna shahr ki saDkon par
achchhi achchhi poshaakein hain achchhi surat vaale hain
dil mein dukh aankhon mein nami aasmaan par ghaTaaein
andar baahar is or us or har or baadal
phuul khile hain likhaa huaa hai toDo mat
aur machal kar ji kahtaa hai chhoDo mat
donon kaa milnaa mushkil hai donon hain majbur bahut
us ke paanv mein mehndi lagi hai mere paanv mein chhaale hain
cigarette jise sulagtaa huaa koi chhoD de
us kaa dhuaan huun aur pareshaan dhuaan huun main
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tanhaai kaa sannaaTaa aur aati jaati raatein
teri yaad na aur koi gham phir bhi niind na aae
betaabi-e-hayaat mein aasudgi bhi thi
kuchh teraa gham bhi thaa gham-e-dauraan ke saath saath
vo bhi hain udhar chup chup khaamosh idhar main bhi
is tarah se milti hai tanhaai se tanhaai