Shayari
milnaa na milnaa ye to muqaddar ki baat hai
tum khush raho raho mire pyaare jahaan kahin
abru na sanvaaraa karo kaT jaaegi ungli
naadaan ho talvaar se khelaa nahin karte
ابرو نہ سنوارا کرو کٹ جائے گی انگلی
نادان ہو تلوار سے کھیلا نہیں کرتے
अबरू न सँवारा करो कट जाएगी उँगली
नादान हो तलवार से खेला नहीं करते

milnaa na milnaa ye to muqaddar ki baat hai
tum khush raho raho mire pyaare jahaan kahin
haalat pe meri un ke bhi aansu nikal paDe
dekhaa gayaa na yaas mein aalam nigaah kaa
is liye kahte the dekhaa munh lagaane kaa maza
aaina ab aap kaa madd-e-muqaabil ho gayaa
baDe sidhe-saadhe baDe bhole-bhaale
koi dekhe is vaqt chehraa tumhaaraa
paamaal kar ke puchhte hain kis adaa se vo
is dil mein aag thi mire talve jhulas gae
pahle is mein ik adaa thi naaz thaa andaaz thaa
ruThnaa ab to tiri aadat mein shaamil ho gayaa
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
aur baazaar se kyaa le jaaun
pahli baarish kaa mazaa le jaaun
mehraab-e-abruvaan kuun vasma huaa hai zevar
kyuun kar kahein na un kuun ab zinatul-masaajid
kaam us ke lab se hai mujhe bint-ul-inab se kyaa
hai aab-e-zindagi bhi to le jaae murda-sho
shorish-e-ishq mein hai husn baraabar kaa sharik
soch kar jurm-e-tamannaa ki sazaa do ham ko
abr kaa saaya o sabza raah kaa
jaan-e-man rath ki savaari yaad hai