Shayari
hadd-e-nazar tak ek dariche se aaj phir
main jaa rahaa thaa aur koi dekhtaa rahaa
ab ibaadat mein bhi aa jaate ho lab par mere
itnaa paDhtaa huun tumhein hijr ke lamhon mein ki bas
اب عبادت میں بھی آ جاتے ہو لب پر میرے
اتنا پڑھتا ہوں تمہیں ہجر کے لمحوں میں کہ بس
अब इबादत में भी आ जाते हो लब पर मेरे
इतना पढ़ता हूँ तुम्हें हिज्र के लम्हों में कि बस

hadd-e-nazar tak ek dariche se aaj phir
main jaa rahaa thaa aur koi dekhtaa rahaa
ab apnaa intizaar rahegaa tamaam-umr
ik shakhs thaa jo mujh se judaa kar gayaa mujhe
musalsal sochte rahte hain tum ko
tumhein jiine ki aadat ho gai hai
so apne shahr ke raunaq ki khair maangnaa tum
main apne gaanv se ik shaam le ke aa rahaa huun
qasr-e-dil kuchh is qadar TuuTaa huaa hai ahtamaam
un ke bas ik lams bhar se khaak mein mil jaae gaa
vo shakhs yaadon kaa mujh ko ghulaam karte hue
gayaa bhi to miri nindein haraam karte hue
khair se dil ko tiri yaad se kuchh kaam to hai
vasl ki shab na sahi hijr kaa hangaam to hai
sahar hote hi jaise ret bhar jaati hai saanson mein
nasim-e-hijr tere zaaiqe achchhe nahin lagte
isi ummid par to ji rahe hain hijr ke maare
kabhi to rukh se uTThegi naqaab aahista aahista
miyaan ye ishq to sab TuuT kar hi karte hain
kisi se hijr agar vaalihaana ho jaae
ai hijr vaqt Tal nahin saktaa hai maut kaa
lekin ye dekhnaa hai ki miTTi kahaan ki hai
aaj na ham se puchhiye kaisaa kamaal ho gayaa
hijr ke khauf mein rahe aur visaal ho gayaa