Shayari
zakhm aur peD ne ik saath duaa maangi hai
dekhiye pahle yahaan kaun haraa hotaa hai
miyaan ye ishq to sab TuuT kar hi karte hain
kisi se hijr agar vaalihaana ho jaae
میاں یہ عشق تو سب ٹوٹ کر ہی کرتے ہیں
کسی سے ہجر اگر والہانہ ہو جائے
मियाँ ये इश्क़ तो सब टूट कर ही करते हैं
किसी से हिज्र अगर वालिहाना हो जाए

zakhm aur peD ne ik saath duaa maangi hai
dekhiye pahle yahaan kaun haraa hotaa hai
hazaar taane sunegaa khajil nahin hogaa
ye vo hujum hai jo mushtail nahin hogaa
falak se kaise miraa gham dikhaai degaa tujhe
kabhi zamin pe aa aur zamin se dekh mujhe
baDe sukun se afsurdagi mein rahtaa huun
main apne saamne vaali gali mein rahtaa huun
ye mohabbat koi anjaan si shai hoti thi
kyaa ye kam hai ki ise teri badaulat samjhe
sab mujhe DhunDne nikle hain bujhaa kar aankhein
baat nikli hai ki main khvaab mein paayaa gayaa huun
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain