Shayari
jalti hui cigarette bujhaai nahin main ne
jiine ke liye aur sahaaraa bhi nahin thaa
ham pahaaDon ko raund aae the
jab saliqa nahin thaa chalne kaa
ہم پہاڑوں کو روند آئے تھے
جب سلیقہ نہیں تھا چلنے کا
हम पहाड़ों को रौंद आए थे
जब सलीक़ा नहीं था चलने का

mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
husn-e-aaraasta qudrat kaa atiyya hai magar
kyaa miraa ishq-e-jigar-soz khudaa-daad nahin
tah mein dariyaa-e-mohabbat ke thi kyaa chiiz 'aziz'
jo koi Duub gayaa us ko ubharne na diyaa
agarche roz miraa sabr aazmaataa hai
magar ye dariyaa mujhe tairnaa sikhaataa hai
ravaan hai qaafila-e-ruh-e-iltifaat abhi
hamaari raah se haT jaae kaaenaat abhi
chaDhe hue hain jo dariyaa utar bhi jaaeinge
mire baghair tire din guzar bhi jaaeinge