Shayari
lahu ki sukhi hui jhiil mein utar kar yuun
talaash kis ko vo kartaa rahaa mire andar
main phir rahaa huun shahr mein saDkon pe ghaaliban
aavaaz de ke mujh ko miraa ghar pukaar le
میں پھر رہا ہوں شہر میں سڑکوں پہ غالباً
آواز دے کے مجھ کو مرا گھر پکار لے
मैं फिर रहा हूँ शहर में सड़कों पे ग़ालिबन
आवाज़ दे के मुझ को मिरा घर पुकार ले

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
sun rahaa huun ki vo aaeinge hansaane mujh ko
aansuo tum bhi zaraa rang jamaae rakhnaa
ik dard ho bas aaTh pahar dil mein ki jis ko
takhfif davaa se ho na taskin duaa se
kis tarah 'amaanat' na rahun gham se main dil-gir
aankhon mein phiraa karti hai ustaad ki surat