Shayari
annyaae ne bhar di hai bahut aag dilon mein
lanka hi kahin is mein jo jal jaae to achchhaa
sun rahaa huun ki vo aaeinge hansaane mujh ko
aansuo tum bhi zaraa rang jamaae rakhnaa
سن رہا ہوں کہ وہ آئیں گے ہنسانے مجھ کو
آنسوؤ تم بھی ذرا رنگ جمائے رکھنا
सुन रहा हूँ कि वो आएँगे हँसाने मुझ को
आँसुओ तुम भी ज़रा रंग जमाए रखना

annyaae ne bhar di hai bahut aag dilon mein
lanka hi kahin is mein jo jal jaae to achchhaa
mire liye hain musibat ye aaina-khaane
yahaan zamir miraa be-naqaab rahtaa hai
dilkashi thi unsiyat thi yaa mohabbat yaa junun
sab maraahil tujh se jo mansub the achchhe lage
nai naslon ke haathon mein bhi taabinda rahegaa
main mil jaaungaa miTTi mein qalam zinda rahegaa
pyaar kaa donon pe aakhir jurm saabit ho gayaa
ye farishte aaj jannat se nikaale jaaeinge
vaaiz safar to meraa bhi thaa ruuh ki taraf
par kyaa karun ki raah mein ye jism aa paDaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ye duniyaa gham to deti hai sharik-e-gham nahin hoti
kisi ke duur jaane se mohabbat kam nahin hoti
dil-e-sad-chaak miraa raah yahaan kab paae
kucha-e-zulf mein phirtaa hai tire shaana kharaab
har sadaa par lage hain kaan yahaan
dil sambhaale raho zabaan ki tarah