Shayari
kaun si jaa hai jahaan jalva-e-maashuq nahin
shauq-e-didaar agar hai to nazar paidaa kar
baad marne ke bhi chhoDi na rifaaqat meri
meri turbat se lagi baiThi hai hasrat meri
بعد مرنے کے بھی چھوڑی نہ رفاقت میری
میری تربت سے لگی بیٹھی ہے حسرت میری
बाद मरने के भी छोड़ी न रिफ़ाक़त मेरी
मेरी तुर्बत से लगी बैठी है हसरत मेरी

kaun si jaa hai jahaan jalva-e-maashuq nahin
shauq-e-didaar agar hai to nazar paidaa kar
aafat to hai vo naaz bhi andaaz bhi lekin
martaa huun main jis par vo adaa aur hi kuchh hai
maani hain main ne saikaDon baatein tamaam umr
aaj aap ek baat miri maan jaaiye
vo dushmani se dekhte hain dekhte to hain
main shaad huun ki huun to kisi ki nigaah mein
khudaa ne nek surat di to sikho nek baatein bhi
bure hote ho achchhe ho ke ye kyaa bad-zabaani hai
tum ko aataa hai pyaar par ghussa
mujh ko ghusse pe pyaar aataa hai
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
tiraa visaal baDi chiiz hai magar ai dost
visaal ko miri duniyaa-e-aarzu na banaa
har mulaaqaat pe siine se lagaane vaale
kitne pyaare hain mujhe chhoD ke jaane vaale
toD kar aaj ghalat-fahmi ki divaaron ko
dosto apne ta'alluq ko sanvaaraa jaae
yaar kaa kucha hai masjud-e-khalaaiq dekh le
sang hai kaabe mein murat dair mein hai mushtarak
na koi dost na hamdam na aashnaa na habib
usi se khauf ziyaada jo hai ziyaada qarib