Shayari
har ek moD se puchhaa hai manzilon kaa pata
safar tamaam huaa rahbar nahin aae
A
Anjum Ansarichamak uThe hain thapeDon ki choT se qatre
sadaf ki god mein 'anjum' guhar nahin aae
چمک اٹھے ہیں تھپیڑوں کی چوٹ سے قطرے
صدف کی گود میں انجمؔ گہر نہیں آئے
चमक उठे हैं थपेड़ों की चोट से क़तरे
सदफ़ की गोद में 'अंजुम' गुहर नहीं आए
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vahi be-vajh udaasi vahi be-naam khalish
raah-o-rasm-e-dil-e-naakaam se ji Dartaa hai
'bedi' mariz dil kaa huun aur dard kaa safir
mar jaaungaa na us ne agar dekh-bhaal ki