Shayari
kuchh yuun fanaa huaa huun mohabbat ki aag mein
duniyaa ko de chalaa huun kahaani malaal ki
'bedi' mariz dil kaa huun aur dard kaa safir
mar jaaungaa na us ne agar dekh-bhaal ki
بیدیؔ مریض دل کا ہوں اور درد کا سفیر
مر جاؤں گا نہ اس نے اگر دیکھ بھال کی
'बेदी' मरीज़ दिल का हूँ और दर्द का सफ़ीर
मर जाऊँगा न उस ने अगर देख-भाल की

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
vaqt ik zarb lagaae to ghazal hoti hai
dard agar dil mein samaae to ghazal hoti hai
ek majzub udaasi mere andar gum hai
is samundar mein koi aur samundar gum hai
baat to jab hai ki jazbon se sadaaqat phuTe
yuun to daavaa hai har ik shakhs ko sachchaai kaa