Shayari
jo vaalid kaa buDhaape mein sahaaraa ban nahin saktaa
jo sach puchho to ho lakht-e-jigar achchhaa nahin lagtaa
A
Anwar Ferozye dil kaa karb labon tak kabhi na aaegaa
mire liye ye khamoshi kaa irtiqaa hi sahi
یہ دل کا کرب لبوں تک کبھی نہ آئے گا
مرے لیے یہ خموشی کا ارتقا ہی سہی
ये दिल का कर्ब लबों तक कभी न आएगा
मिरे लिए ये ख़मोशी का इर्तिक़ा ही सही
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
unhein apne dil ki khabrein mire dil se mil rahi hain
main jo un se ruuTh jaaun to payaam tak na pahunche
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
havaa shaakhon mein rukne aur ulajhne ko hai is lamhe
guzarte baadalon mein chaand haail hone vaalaa hai
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein