Shayari
jism paaband-e-gul sahi 'aabid'
dil magar vahshaton ki basti hai
ujlat ke alaav mein kiye faisle 'aabid'
ab soch ki barfaani khaDaaun pe khaDe hain
عجلت کے الاؤ میں کیے فیصلے عابدؔ
اب سوچ کی برفانی کھڑاؤں پہ کھڑے ہیں
उजलत के अलाव में किए फ़ैसले 'आबिद'
अब सोच की बर्फ़ानी खड़ाऊँ पे खड़े हैं

jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
daavaa-e-insaaniyat 'maail' abhi zebaa nahin
pahle ye socho kisi ke kaam aa saktaa huun main
tumhein jab ru-ba-ru dekhaa kareinge
ye sochaa hai bahut sochaa kareinge
main ajnabi huun magar tum kabhi jo sochoge
koi qarib kaa rishta zarur niklegaa
sazaa ke jhelne vaale ye sochnaa hai gunaah
koi qusur bhi tujh se kabhi huaa ki nahin