Shayari
sikhaa na duaaon mein qanaaat kaa saliqa
vo maang rahaa huun jo muqaddar mein nahin hai
hai ye ummid mire khvaab mein aap aaeinge
ek dar aankh kaa rakhtaa huun khulaa raat ke vaqt
ہے ی امید مرے خواب میں آپ آئیں گے
ایک در آنکھ کا رکھتا ہوں کھلا رات کے وقت
है ये उम्मीद मिरे ख़्वाब में आप आएँगे
एक दर आँख का रखता हूँ खुला रात के वक़्त

sikhaa na duaaon mein qanaaat kaa saliqa
vo maang rahaa huun jo muqaddar mein nahin hai
log kahte hain ki vo shakhs hai khushbu jaisaa
saath shaayad use le aae havaa dekhte hain
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai
tu mire paas jab nahin hotaa
tujh se kartaa huun kis qadar baatein
miri zabaan ke mausam badalte rahte hain
main aadmi huun miraa e'tibaar mat karnaa
kahin kahin to zamin aasmaan se unchi hai
ye raaz mujh pe khulaa siDhiyaan utarte hue
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
raat din aap charaaghon ko jalaate kyon hain
ghar charaaghon se nahin pyaar se raushan hogaa