Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
saans letaa huun to dam ghuTtaa hai
kaisi be-dard havaa hai yaaro
سانس لیتا ہوں تو دم گھٹتا ہے
کیسی بے درد ہوا ہے یارو
साँस लेता हूँ तो दम घुटता है
कैसी बे-दर्द हवा है यारो
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
dard-e-dil ki intihaa thi zabt TuuTaa aur phir
aansuon kaa rang meri shaairi mein aa gayaa
muqarrar kar rakhi hai main ne apne aansuon ki had
mire dukh-dard kaa paikar miraa chehra nahin hotaa
agar maujein Dubo detin to kuchh taskin ho jaati
kinaaron ne Duboyaa hai mujhe is baat kaa gham hai