Shayari
ain-fitrat hai ki jis shaakh pe phal aaeinge
inkisaari se vahi shaakh lachak jaaegi
agar maujein Dubo detin to kuchh taskin ho jaati
kinaaron ne Duboyaa hai mujhe is baat kaa gham hai
اگر موجیں ڈبو دیتیں تو کچھ تسکین ہو جاتی
کناروں نے ڈبویا ہے مجھے اس بات کا غم ہے
अगर मौजें डुबो देतीं तो कुछ तस्कीन हो जाती
किनारों ने डुबोया है मुझे इस बात का ग़म है

ain-fitrat hai ki jis shaakh pe phal aaeinge
inkisaari se vahi shaakh lachak jaaegi
bahut aasaan hai do ghunT pi lenaa to ai 'raahi'
baDi mushkil se aate hain magar aadaab-e-mai-khaana
sochne ki ye baat hai 'raahi'
sochte hi rahe to kyaa hogaa
ab to utni bhi mayassar nahin mai-khaane mein
jitni ham chhoD diyaa karte the paimaane mein
vaqt barbaad karne vaalon ko
vaqt barbaad kar ke chhoDegaa
abas ilzaam mat do mushkilaat-e-raah ko 'raahi'
tumhaare hi iraade mein kami maalum hoti hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aadat ke baa'd dard bhi dene lagaa mazaa
hans hans ke aah aah kiye jaa rahaa huun main
naaz kar naaz tire naaz pe hai naaz mujhe
meri tanhaai hai partav tiri yaktaai kaa
hijr ki shab naala-e-dil vo sadaa dene lage
sunne vaale raat kaTne ki duaa dene lage