Shayari
ye chaar din ke tamaashe hain aah duniyaa ke
rahaa jahaan mein sikandar na aur na jam baaqi
qabr mein raahat se soe the na thaa mahshar kaa khauf
baaz aae ai masihaa ham tire eajaaz se
قبر میں راحت سے سوئے تھے نہ تھا محشر کا خوف
بعض آئے اے مسیحا ہم ترے اعجاز سے
क़ब्र में राहत से सोए थे न था महशर का ख़ौफ़
बाज़ आए ऐ मसीहा हम तिरे एजाज़ से

ye chaar din ke tamaashe hain aah duniyaa ke
rahaa jahaan mein sikandar na aur na jam baaqi
ai 'rasaa' jaisaa hai bargashta zamaana ham se
aisaa bargashta kisi kaa na muqaddar hogaa
na bosa lene dete hain na lagte hain gale mere
abhi kam-umr hain har baat par mujh se jhijakte hain
baat karne mein jo lab us ke hue zer-o-zabar
ek saaat mein tah-o-baalaa zamaana ho gayaa
ye kah do bas maut se ho rukhsat kyuun naahaq aai hai us ki shaamat
ki dar talak vo masih-khaslat miri ayaadat ko aa chuke hain
abhi to aae ho jaldi kahaan hai jaane ki
uTho na pahlu se Thahro zaraa kidhar ko chale
mujhe na Dar hai qayaamat kaa ab na khauf-e-ajal
main dard-e-tark-e-mulaaqaat sah ke aaya huun
kyaa rah gayaa hai shahr mein khanDaraat ke sivaa
kyaa dekhne ko ab yahaan aae hue hain log
rudaad-e-shab-e-gham yuun Dartaa huun sunaane se
mahfil mein kahin un ki surat na utar jaae
sangat dilon ki jivanon marnon kaa irtibaat
phir Dar paDaa thaa kyaa tujhe gird-o-navaah kaa
kis ne sochaa thaa ki khud se mil kar
apni aavaaz se Dar jaanaa hai
dahshat khuli fazaa ki qayaamat se kam na thi
girte hue makaanon mein aa baiThe yaar log