Shayari
dushman ki chaaplusi se kuchh faaeda nahin
saale ko bevaquf banaae hue to huun
na puchho tum ko aur dushman ko dil mein kyaa samajhtaa huun
use ullu tumhein ullu kaa main paTThaa samajhtaa huun
نہ پوچھو تم کو اور دشمن کو دل میں کیا سمجھتا ہوں
اسے الو تمہیں الو کا میں پٹھا سمجھتا ہوں
न पूछो तुम को और दुश्मन को दिल में क्या समझता हूँ
उसे उल्लू तुम्हें उल्लू का मैं पट्ठा समझता हूँ

dushman ki chaaplusi se kuchh faaeda nahin
saale ko bevaquf banaae hue to huun
le ke us shokh ko aaraam se chhat par soyaa
ghair ko Daal diyaa baandh ke shahtir ke saath
shama kuchh phukne ke vaaste ghar par nahin jaati
fidaa ullu kaa paTThaa aa ke khud parvaana hotaa hai
un se chhinke se koi chiiz utarvaai hai
kaam kaa kaam hai angDaai ki angDaai hai
gayaa bachpan shabaab aayaa buDhaapaa aane vaalaa hai
magar main to abhi tak aap ko bachcha samajhtaa huun
buum saahab kaa ajab rang niraalaa dekhaa
yaar yaaron mein hai aghyaar hai aghyaaron mein
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi