Shayari
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
ye duniyaa nafraton ke aakhri stage pe hai
ilaaj is kaa mohabbat ke sivaa kuchh bhi nahin hai
یہ دنیا نفرتوں کے آخری اسٹیج پہ ہے
علاج اس کا محبت کے سوا کچھ بھی نہیں ہے
ये दुनिया नफ़रतों के आख़री स्टेज पे है
इलाज इस का मोहब्बत के सिवा कुछ भी नहीं है

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
abhi miaad baaqi hai sitam ki
mohabbat ki sazaa hai aur main huun
hai muddaaa-e-ishq hi duniyaa-e-muddaaa
ye muddaaa na ho to koi muddaaa na ho
aasaar-e-ishq aankhon se hone lage ayaan
bedaari ki taraqqi hui khvaab kam huaa
sai-e-laa-haasil mudaavaa-e-mariz-e-ishq hai
thaamnaa mumkin nahin girti hui divaar kaa