Shayari
nazar utaarti hain vaqt vaqt par meri
mili hain maaon ko binaaiyaan ajib-o-gharib
aa hi jaate ho khvaab mein har shab
tum miraa kitnaa dhyaan rakhte ho
آ ہی جاتے ہو خواب میں ہر شب
تم مرا کتنا دھیان رکھتے ہو
आ ही जाते हो ख़्वाब में हर शब
तुम मिरा कितना ध्यान रखते हो

nazar utaarti hain vaqt vaqt par meri
mili hain maaon ko binaaiyaan ajib-o-gharib
miraa ghar jalaane vaale mujhe fikr hai tiri bhi
ki havaa kaa rukh jo badlaa tiraa ghar bhi jal na jaae
yuun to laDaai-jhagDe ki aadat nahin mujhe
phir bhi ghalat kiyaa thaa garebaan chhoD kar
sab hifaazat kar rahein hain mustaqil divaar ki
jab ki hamla ho rahaa hai mustaqil buniyaad par
khud par kisi ko hansne kaa mauqa nahin diyaa
puchhaa kisi ne haal to cigarette jalaa liyaa
milaa hai takht jo jamhuriyat mein bandar ko
to un se kyaa sabhi jangal ke sher Dar jaaein
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
miTTi jab tak nam rahti hai
khushbu taaza-dam rahti hai
utar gayaa hai rag-o-pai mein zaaiqa us kaa
ajiib shahad saa kal raat us zabaan mein thaa
kitaabon se nikal kar titliyaan ghazlein sunaati hain
tiffin rakhti hai meri maan to basta muskuraataa hai