Shayari
na jaane kis liye ummid-vaar baiThaa huun
ik aisi raah pe jo teri rahguzar bhi nahin
judaa the ham to mayassar thiin qurbatein kitni
baham hue to paDi hain judaaiyaan kyaa kyaa
جدا تھے ہم تو میسر تھیں قربتیں کتنی
بہم ہوئے تو پڑی ہیں جدائیاں کیا کیا
judā the ham to mayassar thiiñ qurbateñ kitnī
baham hue to paḌī haiñ judā.iyāñ kyā kyā

Faiz Ahmad Faiz was a Pakistani poet associated with the Progressive Writers Movement.
na jaane kis liye ummid-vaar baiThaa huun
ik aisi raah pe jo teri rahguzar bhi nahin
raat yuun dil mein tiri khoi hui yaad aai
jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaae
har sadaa par lage hain kaan yahaan
dil sambhaale raho zabaan ki tarah
ai zulm ke maato lab kholo chup rahne vaalo chup kab tak
kuchh hashr to un se uTThegaa kuchh duur to naale jaaeinge
chaman pe ghaarat-e-gul-chin se jaane kyaa guzri
qafas se aaj sabaa be-qaraar guzri hai
karo kaj jabin pe sar-e-kafan mire qaatilon ko gumaan na ho
ki ghurur-e-ishq kaa baankpan pas-e-marg ham ne bhulaa diyaa
saare manzar hasin lagte hain
duriyaan kam na hon to behtar hai
yahaan pe hansnaa ravaa hai ronaa hai be-hayaai
suqut-e-shahr-e-junun kaa maatam zaraa alag hai
hazaar rang mein mumkin hai dard kaa izhaar
tire firaaq mein marnaa hi kyaa zaruri hai
qalam mein zor jitnaa hai judaai ki badaulat hai
milan ke baa'd likhne vaale likhnaa chhoD dete hain
main to shab-e-firaaq thaa tum ek umr thi
phir bhi ziyaada tum se guzaara gayaa mujhe
shab-e-firaaq kai baar gosha-e-dil se
uThi to aah magar aah be-asar uTThi