Shayari
na jaane kis liye ummid-vaar baiThaa huun
ik aisi raah pe jo teri rahguzar bhi nahin
raat yuun dil mein tiri khoi hui yaad aai
jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaae
رات یوں دل میں تری کھوئی ہوئی یاد آئی
جیسے ویرانے میں چپکے سے بہار آ جائے
raat yuuñ dil meñ tirī khoī huī yaad aa.ī
jaise vīrāne meñ chupke se bahār aa jaa.e

Faiz Ahmad Faiz was a Pakistani poet associated with the Progressive Writers Movement.
na jaane kis liye ummid-vaar baiThaa huun
ik aisi raah pe jo teri rahguzar bhi nahin
har sadaa par lage hain kaan yahaan
dil sambhaale raho zabaan ki tarah
ai zulm ke maato lab kholo chup rahne vaalo chup kab tak
kuchh hashr to un se uTThegaa kuchh duur to naale jaaeinge
chaman pe ghaarat-e-gul-chin se jaane kyaa guzri
qafas se aaj sabaa be-qaraar guzri hai
sab qatl ho ke tere muqaabil se aae hain
ham log surkh-ru hain ki manzil se aae hain
karo kaj jabin pe sar-e-kafan mire qaatilon ko gumaan na ho
ki ghurur-e-ishq kaa baankpan pas-e-marg ham ne bhulaa diyaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
dil ko dukhaati hai phir bhi kyuun achchhi lagti hai
yaadon ki ye shaam suhaani dil mein qaid hui
jiyaa jaaegaa kaise haan magar jiinaa zaruri hai
tumhaari yaad aur tanhaa safar hai maan lete hain
ye sach hai ki auron hi ko tum yaad karoge
mere dil-e-naashaad ko kab shaad karoge
ham ko to yaad nahin ham pe jo guzri tujh bin
tere aage kahe jis ko ye kahaani aae
vaqt-e-rukhsat alvidaaa kaa lafz kahne ke liye
vo tire sukhe labon kaa thartharaanaa yaad hai