Shayari
paagal-pan mein aa kar paagal kuchh bhi to kar saktaa hai
khud ko izzat-daar samajhne vaale mujh se duur rahein
dekhtaa hai kaun 'baabar' kis kaa kyaa kirdaar hai
jis se jo mansub qissa ho gayaa to ho gayaa
دیکھتا ہے کون بابرؔ کس کا کیا کردار ہے
جس سے جو منسوب قصہ ہو گیا تو ہو گیا
देखता है कौन 'बाबर' किस का क्या किरदार है
जिस से जो मंसूब क़िस्सा हो गया तो हो गया

pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
ab ke ham ne bhi diyaa tark-e-taalluq kaa javaab
honT khaamosh rahe aankh ne baarish nahin ki
saaebaan kyaa abr kaa TukDaa hai kyaa
dhuup to maalum hai saayaa hai kyaa
ye baadal ye dhundhlake ye phuvaarein aur ye tanhaai
ye mausam to tumhaare saath mein hone kaa mausam hai
dil mein 'asghar' ke khushiyon ki barsaat thi
hanste hanste vo kyuun gham-zada ho gayaa
kabhi saaya hai kabhi dhuup muqaddar meraa
hotaa rahtaa hai yuun hi qarz baraabar meraa