Shayari
mujhe na Dar hai qayaamat kaa ab na khauf-e-ajal
main dard-e-tark-e-mulaaqaat sah ke aaya huun
ye baadal ye dhundhlake ye phuvaarein aur ye tanhaai
ye mausam to tumhaare saath mein hone kaa mausam hai
یہ بادل یہ دھندھلکے یہ پھواریں اور یہ تنہائی
یہ موسم تو تمہارے ساتھ میں ہونے کا موسم ہے
ये बादल ये धुंधलके ये फुवारें और ये तन्हाई
ये मौसम तो तुम्हारे साथ में होने का मौसम है

mujhe na Dar hai qayaamat kaa ab na khauf-e-ajal
main dard-e-tark-e-mulaaqaat sah ke aaya huun
ho duur pa yuun mujh mein samaai ho ki jaise
ashk aankhon se niklein bhi to nam rahti hain aankhein
tujh se jab guftugu nahin hoti
khud se teri hi baat kartaa huun
main ne chaahaa hai jise yuun to mukammal hai magar
ik kami hai ki use urdu nahin aati hai
subh ki chaae se phir aaiin yaad
tere pahlu mein chaae ki shaamein
hai tirgi se jang muqaabil aur apne saath
jugnu ki saf hai jashn-e-charaaghaan nahin to kyaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
rotaa hai koi kisi ke gham mein
sab apne hi dukh bichaarte hain
sarhad-e-jaan talak qalam-rau dil
is se aage nizaam dard kaa hai