Shayari
shahr to kab kaa jal chukaa 'asghar'
uTh rahaa hai magar dhuaan ab tak
dil mein 'asghar' ke khushiyon ki barsaat thi
hanste hanste vo kyuun gham-zada ho gayaa
دل میں اصغرؔ کے خوشیوں کی برسات تھی
ہنستے ہنستے وہ کیوں غمزدہ ہو گیا
दिल में 'असग़र' के ख़ुशियों की बरसात थी
हँसते हँसते वो क्यूँ ग़म-ज़दा हो गया

shahr to kab kaa jal chukaa 'asghar'
uTh rahaa hai magar dhuaan ab tak
saari duniyaa ko jitne vaalaa
apne bachchon se haar jaataa hai
kahaan sar chhupaaein pataa hi nahin
ki girne lagi ghar ki divaar ab
sar pe dastaar jab salaamat hai
dil mein aati hui anaa se Dar
talaatum mein kabhi utraa thaa 'asghar'
samundar aaj tak sahmaa huaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
nazar bachaa ke jo aansu kiye the main ne paak
khabar na thi yahi dhabbe baneinge daaman ke
bataa khud ko bhalaa kaise sanvaarun
mujhe gham aainon mein dikh rahaa hai