Shayari
gham se naazuk zabt-e-gham ki baat hai
ye bhi dariyaa hai magar Thahraa huaa
duniyaa-e-tasavvur ham aabaad nahin karte
yaad aate ho tum khud hi ham yaad nahin karte
دنیائے تصور ہم آباد نہیں کرتے
یاد آتے ہو تم خود ہی ہم یاد نہیں کرتے
दुनिया-ए-तसव्वुर हम आबाद नहीं करते
याद आते हो तुम ख़ुद ही हम याद नहीं करते

gham se naazuk zabt-e-gham ki baat hai
ye bhi dariyaa hai magar Thahraa huaa
vo aankh kyaa jo aariz o rukh par Thahar na jaae
vo jalva kyaa jo diida o dil mein utar na jaae
mujhe rutba-e-gham bataanaa paDegaa
agar mere pichhe zamaana paDegaa
tire vaadon pe kahaan tak miraa dil fareb khaae
koi aisaa kar bahaana miri aas TuuT jaae
ik tujh ko dekhne ke liye bazm mein mujhe
auron ki samt maslahatan dekhnaa paDaa
koi paaband-e-mohabbat hi bataa saktaa hai
ek divaane kaa zanjir se rishta kyaa hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
itni fursat de ki rukhsat ho lein ai sayyaad ham
muddaton is baagh ke saaye mein the aazaad ham
vo to kahiye aaj bhi zanjir mein jhankaar hai
varna kis ko yaad rah jaati hai divaanon ki baat
kaun suntaa hai bhikaari ki sadaaein is liye
kuchh zarifaana latife yaad kar lete hain ham
mujhe khabar thi ki ab lauT kar na aaungaa
so tujh ko yaad kiyaa dil pe vaar karte hue