Shayari
ain mumkin hai use mujh se mohabbat hi na ho
dil bahar-taur use apnaa banaanaa chaahe
tumhein paane ki haisiyyat nahin hai
magar khone ki bhi himmat nahin hai
تمہیں پانے کی حیثیت نہیں ہے
مگر کھونے کی بھی ہمت نہیں ہے
तुम्हें पाने की हैसिय्यत नहीं है
मगर खोने की भी हिम्मत नहीं है

ain mumkin hai use mujh se mohabbat hi na ho
dil bahar-taur use apnaa banaanaa chaahe
vo khudaa hai to bhalaa us se shikaayat kaisi?
muqtadir hai vo sitam mujh pe jo Dhaanaa chaahe
kis kis phuul ki shaadaabi ko maskh karoge bolo!!!
ye to us ki den hai jis ko chaahe vo mahkaae
andar aisaa habs thaa main ne khol diyaa darvaaza
jis ne dil se jaanaa hai vo khaamoshi se jaae
aankh aur baadal donon TuuT ke rote hain
jaane in kaa aapas mein kyaa rishta hai
tumhaare rang phike paD gae naan
miri aankhon ki viraani ke aage
tohmat-e-chand apne zimme dhar chale
jis liye aa.e the ham kar chale
bhurbhuri si haDDiyon mein vaqt kaa suraagh thaa
apni qabr khodne kaa hausla nahin huaa
ai jazba-e-dil gar main chaahun har chiiz muqaabil aa jaae
manzil ke liye do gaam chalun aur saamne manzil aa jaae
tumhaare sang hi mujh ko mili parvaaz ki himmat
tumhaare hausle ko main ne apne baal-o-par samjhaa
ai mohabbat mujh ko aisaa hausla khairaat kar
us ko baazu se pakaD kar kah sakun ki baat kar
himmat-e-tark-e-vafaa Duub gai
kis ne aankhon mein utaaraa dariyaa