Shayari
aasmaanon pe uDo zehn mein rakkho ki jo chiiz
khaak se uThti hai vo khaak pe aa jaati hai
tire khilaaf kiyaa jab bhi ehtijaaj ai dost
miraa vajud bhi shaamil nahin huaa mire saath
ترے خلاف کیا جب بھی احتجاج اے دوست
مرا وجود بھی شامل نہیں ہوا مرے ساتھ
तिरे ख़िलाफ़ किया जब भी एहतिजाज ऐ दोस्त
मिरा वजूद भी शामिल नहीं हुआ मिरे साथ

aasmaanon pe uDo zehn mein rakkho ki jo chiiz
khaak se uThti hai vo khaak pe aa jaati hai
tu samajhtaa hai ki main kuchh bhi nahin tere baghair
main tire pyaar se inkaar bhi kar saktaa huun
rang-o-khushbu kaa kahin koi kare zikr to baat
ghuum phir kar tiri poshaak pe aa jaati hai
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
jo ghair the vo isi baat par hamaare hue
ki ham se dost bahut be-khabar hamaare hue
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe