Shayari
main nahin jaa paaungaa yaaro su-e-gulzaar abhi
dekhni hai aab-ju-e-zist ki raftaar abhi
khaar ko to zabaan-e-gul bakhshi
gul ko lekin zabaan-e-khaar hi di
خار کو تو زبان گل بخشی
گل کو لیکن زبان خار ہی دی
ख़ार को तो ज़बान-ए-गुल बख़्शी
गुल को लेकिन ज़बान-ए-ख़ार ही दी

shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
sabza o gul kahaan se aae hain
abr kyaa chiiz hai havaa kyaa hai
be-ilm shaairon kaa gila kyaa hai ai 'munir'
hai ahl-e-ilm ko tiraa tarz-e-bayaan pasand
ai sanam tu vo kanhayyaa hai balaaein luun agar
baansuli ki tarah naalaan hon saraapaa ungliyaan
jaise ye mez miTTi kaa haathi ye phuul
ek kone mein ham bhi hain rakkhe hue