Shayari
shisha TuuTe ghul mach jaae
dil TuuTe aavaaz na aae
haae vo naghma jis kaa mughanni
gaataa jaae rotaa jaae
ہائے وہ نغمہ جس کا مغنی
گاتا جائے روتا جائے
हाए वो नग़्मा जिस का मुग़न्नी
गाता जाए रोता जाए

shisha TuuTe ghul mach jaae
dil TuuTe aavaaz na aae
vo vaqt kaa jahaaz thaa kartaa lihaaz kyaa
main doston se haath milaane mein rah gayaa
raat ko raat kah diyaa main ne
sunte hi baukhlaa gai duniyaa
ik ajnabi ke haath mein de kar hamaaraa haath
lo saath chhoDne lagaa aakhir ye saal bhi
bad-tar hai maut se bhi ghulaami ki zindagi
mar jaaiyo magar ye gavaaraa na kijiyo
abhi se hosh uDe maslahat-paraston ke
abhi main bazm mein aayaa abhi kahaan bolaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
maut ne aa kar bachaayaa phir mujhe
dard ne jab zindagi se baat ki
khushi ke daur to mehmaan the aate jaate rahe
udaasi thi ki hamesha hamaare ghar mein rahi