Shayari
ye aarzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
ham aur bulbul-e-betaab guftugu karte
na paak hogaa kabhi husn o ishq kaa jhagDaa
vo qissa hai ye ki jis kaa koi gavaah nahin
نہ پاک ہوگا کبھی حسن و عشق کا جھگڑا
وہ قصہ ہے یہ کہ جس کا کوئی گواہ نہیں
न पाक होगा कभी हुस्न ओ इश्क़ का झगड़ा
वो क़िस्सा है ये कि जिस का कोई गवाह नहीं

ye aarzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
ham aur bulbul-e-betaab guftugu karte
uTh gai hain saamne se kaisi kaisi suratein
roiye kis ke liye kis kis kaa maatam kijiye
ajab teri hai ai mahbub surat
nazar se gir gae sab khubsurat
us gul-badan ki bu-e-badan kuchh na puchhiye
band-e-qabaa jo khol diye ghar mahak gayaa
aap ki naazuk kamar par bojh paDtaa hai bahut
baDh chale hain had se gesu kuchh inhein kam kijiye
main us gulshan kaa bulbul huun bahaar aane nahin paati
ki sayyaad aan kar meraa gulistaan mol lete hain
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq ho jaaegaa meri daastaan-e-ishq se
raat bhar jaagaa karoge is kahaani ke liye
be-vafaa tum baa-vafaa main dekhiye hotaa hai kyaa
ghaiz mein aane ko tum ho mujh ko pyaar aane ko hai
ishq-baazon ki kahin duniyaa mein shunvaai nahin
in gharibon ki qayaamat mein samaaat ho to ho
har taur har tarah ki jo zillat mujhi ko hai
duniyaa mein kyaa kisi se mohabbat mujhi ko hai