Shayari
gham-e-hayaat ne fursat na di sunaane ki
chale the ham bhi mohabbat ki daastaan le kar
H
Hasan Tahiryahaan na main huun na tu hai na koi shahnaai
pahunch gai hai tiri aarzu kahaan le kar
یہاں نہ میں ہوں نہ تو ہے نہ کوئی شہنائی
پہنچ گئی ہے تری آرزو کہاں لے کر
यहाँ न मैं हूँ न तू है न कोई शहनाई
पहुँच गई है तिरी आरज़ू कहाँ ले कर
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
kis se shikva karein viraani-e-hasti kaa 'hayaat'
ham ne khud apni tamannaaon ko jiine na diyaa
jaada-e-gham mein aarzu ke sivaa
ham-safar dusraa nahin hotaa
tamannaa hai yahi dil ki vahin chaliye vahin chaliye
vo mahfil aah jis mahfil mein duniyaa luT gai apni
ik daaimi sukun ki tamannaa hai raat din
tang aa gae hain gardish-e-shaam-o-sahar se ham
be-aarzu bhi khush hain zamaane mein baaz log
yaan aarzu ke saath bhi jiinaa haraam hai