Shayari
yahaan na main huun na tu hai na koi shahnaai
pahunch gai hai tiri aarzu kahaan le kar
H
Hasan Tahirgham-e-hayaat ne fursat na di sunaane ki
chale the ham bhi mohabbat ki daastaan le kar
غم حیات نے فرصت نہ دی سنانے کی
چلے تھے ہم بھی محبت کی داستاں لے کر
ग़म-ए-हयात ने फ़ुर्सत न दी सुनाने की
चले थे हम भी मोहब्बत की दास्ताँ ले कर
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
is qadar mat udaas ho jaise
ye mohabbat kaa aakhiri din hai
dard kaa dil kaa shaam kaa bazm kaa mai kaa jaam kaa
rang badal badal gayaa ek nazar ke saath saath
ajiib dard saa us lamha-e-visaal mein thaa
ki zakhm se bhi baDaa karb indimaal mein thaa