Shayari
vo judaa mujh se ho gayaa lekin
daagh dil se judaa nahin hotaa
S
Saeed Soharwardijaada-e-gham mein aarzu ke sivaa
ham-safar dusraa nahin hotaa
جادۂ غم میں آرزو کے سوا
ہم سفر دوسرا نہیں ہوتا
जादा-ए-ग़म में आरज़ू के सिवा
हम-सफ़र दूसरा नहीं होता
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
gham-e-maujud ghalat aur gham-e-fardaa baatil
raahat ik khvaab hai jis ki koi taabir nahin
miri tanhaaiyon ko kaun samjhe
main saaya huun magar khud se judaa huun
ham gadaa-e-dar-e-mai-khaana hain ai pir-e-mughaan
kaam apnaa tire sadqe mein chalaa lete hain