Shayari
divaar hai duniyaa ise raahon se haTaa de
har rasm-e-mohabbat ko miTaane ke liye aa
khudaa jaane kis kis ki ye jaan legi
vo qaatil adaa vo qazaa mahki mahki
خدا جانے کس کس کی یہ جان لے گی
وہ قاتل ادا وہ قضا مہکی مہکی
ख़ुदा जाने किस किस की ये जान लेगी
वो क़ातिल अदा वो क़ज़ा महकी महकी

divaar hai duniyaa ise raahon se haTaa de
har rasm-e-mohabbat ko miTaane ke liye aa
kahin vo aa ke miTaa dein na intizaar kaa lutf
kahin qubul na ho jaae iltijaa meri
kis vaaste likkhaa hai hatheli pe miraa naam
main harf-e-ghalat huun to miTaa kyuun nahin dete
ham raaton ko uTh uTh ke jin ke liye rote hain
vo ghair ki baanhon mein aaraam se sote hain
ye kis ne kahaa hai miri taqdir banaa de
aa apne hi haathon se miTaane ke liye aa
jab pyaar nahin hai to bhulaa kyuun nahin dete
khat kis liye rakkhe hain jalaa kyuun nahin dete
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
jis ki jaanib 'adaa' nazar na uThi
haal us kaa bhi mere haal saa thaa
kuchh itni raushni mein the chehron ke aaine
dil us ko DhunDhtaa thaa jise jaantaa na thaa