Shayari
gulshan mein kaun bulbul-e-naalaan ko de panaah
gulchin o baaghbaan bhi hain sayyaad ki taraf
dil na dete use to kyaa karte
ai 'asar' dukh hamein uThaanaa thaa
دل نہ دیتے اسے تو کیا کرتے
اے اثرؔ دکھ ہمیں اٹھانا تھا
दिल न देते उसे तो क्या करते
ऐ 'असर' दुख हमें उठाना था

gulshan mein kaun bulbul-e-naalaan ko de panaah
gulchin o baaghbaan bhi hain sayyaad ki taraf
kaisaa aanaa kaisaa jaanaa mere ghar kyaa aaoge
ghairon ke ghar jaane se tum fursat kis din paate ho
kartaa hai ai 'asar' dil-e-khun-gashta kaa gila
aashiq vo kyaa ki khasta-e-tegh-e-jafaa na ho
saath duniyaa kaa nahin taalib-e-duniyaa dete
apne kutton ko ye murdaar liye phirti hai
aaina dekh ke farmaate hain
kis ghazab ki hai javaani meri
dil ki haalat se khabar deti hai
'asar' aashufta-bayaani meri
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
ye khuun rang-e-chaman mein badal bhi saktaa hai
zaraa Thahar ki badal jaaeinge ye manzar bhi
jo pahle aankh se ojhal huaa thaa
vo ab dil se bhi rukhsat ho rahaa hai
guftugu ke khatm ho jaane par aayaa ye khayaal
jo zabaan tak aa nahin paayaa vahi to dil mein thaa
shauq-e-manzil ham-safar hai jazba-e-dil raahbar
mujh pe khud bhi khul nahin paataa kidhar jaataa huun main