Shayari
ghar ghar hai sahmaa sahmaa saa jaane kyuun
galiyon galiyon kyuun hai ik Dar kaa maahaul
ye soch ke daanista rahaa us se bahut duur
maghrur hai dariyaa mujhe pyaasaa na samajh le
یہ سوچ کے دانستہ رہا اس سے بہت دور
مغرور ہے دریا مجھے پیاسا نہ سمجھ لے
ये सोच के दानिस्ता रहा उस से बहुत दूर
मग़रूर है दरिया मुझे प्यासा न समझ ले

vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
kuchh log jo khaamosh hain ye soch rahe hain
sach boleinge jab sach ke zaraa daam baDheinge
fikr-e-fardaa gham-e-imroz gham-e-maut-o-hayaat
aadmi kyaa huaa majmua-e-aalaam huaa
bas itnaa soch kar hi mujh ko apne paas tum rakh lo
tumhaare vaaste main hukmaraani chhoD aayaa huun
kishan ki gopiyaan ki naiin hai ye nasl
rahein sab gopiyaan vo naql ye asl