Shayari
jaane kis shahr mein aabaad hai tu
ham hain barbaad yahaan tere baad
tark-e-taalluqaat ki bas intihaa na puchh
ab ke to main ne tark kiyaa apne aap ko
ترک تعلقات کی بس انتہا نہ پوچھ
اب کے تو میں نے ترک کیا اپنے آپ کو
तर्क-ए-तअल्लुक़ात की बस इंतिहा न पूछ
अब के तो मैं ने तर्क किया अपने आप को

jaane kis shahr mein aabaad hai tu
ham hain barbaad yahaan tere baad
nashsha thaa zindagi kaa sharaabon se tez-tar
ham gir paDe to maut uThaa le gai hamein
akele paar utar ke bahut hai ranj mujhe
main us kaa bojh uThaa kar bhi tair saktaa thaa
gham-e-hayaat ne bakhshe hain saare sannaaTe
kabhi hamaare bhi pahlu mein dil dhaDaktaa thaa
ujlat mein aasmaan se aage nikal gayaa
main apne hi makaan se aage nikal gayaa
zakhm jo tu ne diye tujh ko dikhaa to duun magar
paas tere bhi nasihat ke sivaa hai aur kyaa