Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
palkon pe gham-e-hijr ke sab diip jalaae
nindon ke shabistaan mein bhaari miri aankhein
پلکوں پہ غم ہجر کے سب دیپ جلائے
نیندوں کے شبستان میں بھاری مری آنکھیں
पलकों पे ग़म-ए-हिज्र के सब दीप जलाए
नींदों के शबिस्तान में भारी मिरी आँखें

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
us pe qurbaan ki jis ne tiri aavaaz suni
sadqe us aankh ke jis ne tiraa jalva dekhaa
bahut ghurur thaa biphre hue samundar ko
magar jo dekhaa mire aansuon se kam-tar thaa
udaasi ab kisi kaa rang jamne hi nahin deti
kahaan tak phuul barsaae koi gor-e-gharibaan par