Shayari
chal su-e-gor-e-garibaan ai haris-e-maal-o-zar
dekh kitni aarzuein nazr-e-madfan ho gaiin
us pe qurbaan ki jis ne tiri aavaaz suni
sadqe us aankh ke jis ne tiraa jalva dekhaa
اس پہ قربان کہ جس نے تری آواز سنی
صدقے اس آنکھ کے جس نے ترا جلوہ دیکھا
उस पे क़ुर्बान कि जिस ने तिरी आवाज़ सुनी
सदक़े उस आँख के जिस ने तिरा जल्वा देखा

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tu ek saal mein ik saans bhi na ji paayaa
main ek sajde mein sadiyaan kai guzaar gayaa
bahut khaamosh rahtaa hai jo 'tanhaa'
vo mahfil mein baraabar boltaa hai
zabt-e-gham kaa mire andaaza bhalaa kyaa hotaa
main agar dasht na hotaa bhi to dariyaa hotaa