Shayari
hijr ki raat hai aur aankh mein aansu bhi nahin
aise mausam mein to barsaat huaa karti thi
divaangi kaa sabab puchhaa jaa rahaa thaa miri
main chup thaa aur hujum us kaa naam le rahaa thaa
دیوانگی کا سبب پوچھا جا رہا تھا مری
میں چپ تھا اور ہجوم اس کا نام لے رہا تھا
दीवानगी का सबब पूछा जा रहा था मिरी
मैं चुप था और हुजूम उस का नाम ले रहा था

hijr ki raat hai aur aankh mein aansu bhi nahin
aise mausam mein to barsaat huaa karti thi
jo apnaa hissa bhi auron mein baanT detaa hai
ik aise shakhs ke hisse mein aa gae the ham
dar-asl main ne mashaqqat nahin mohabbat ki
hatheliyon pe nahin mere dil pe chhaale hain
us vaqt ke sadmon ne mujhe chaaT liyaa hai
jo vaqt abhi main ne guzaaraa bhi nahin thaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
raat yuun dil mein tiri khoi hui yaad aai
jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaae
alvidaa'i shaam aa pahunchi yahaan
chup hai tu meraa khudaa hote hue
kaho kyaa baat karti hai kabhi sahraa ki khaamoshi
kahaa us khaamushi mein bhi to ik taqrir hoti hai
ye dil kaa karb labon tak kabhi na aaegaa
mire liye ye khamoshi kaa irtiqaa hi sahi
khuli zabaan to zarf un kaa ho gayaa zaahir
hazaar bhed chhupaa rakkhe the khamoshi mein