Shayari
divaangi kaa sabab puchhaa jaa rahaa thaa miri
main chup thaa aur hujum us kaa naam le rahaa thaa
hijr ki raat hai aur aankh mein aansu bhi nahin
aise mausam mein to barsaat huaa karti thi
ہجر کی رات ہے اور آنکھ میں آنسو بھی نہیں
ایسے موسم میں تو برسات ہوا کرتی تھی
हिज्र की रात है और आँख में आँसू भी नहीं
ऐसे मौसम में तो बरसात हुआ करती थी

divaangi kaa sabab puchhaa jaa rahaa thaa miri
main chup thaa aur hujum us kaa naam le rahaa thaa
jo apnaa hissa bhi auron mein baanT detaa hai
ik aise shakhs ke hisse mein aa gae the ham
dar-asl main ne mashaqqat nahin mohabbat ki
hatheliyon pe nahin mere dil pe chhaale hain
us vaqt ke sadmon ne mujhe chaaT liyaa hai
jo vaqt abhi main ne guzaaraa bhi nahin thaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kisi ki yaad manaane mein iid guzregi
so shahr-e-dil mein bahut duur tak udaasi hai
hijr ki shab naala-e-dil vo sadaa dene lage
sunne vaale raat kaTne ki duaa dene lage
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki