Shayari
isi ik baat par hai ittifaaq-o-ikhtilaaf us se
use aaina aur mujh ko piyaala achchhaa lagtaa hai
subh aataa huun yahaan aur shaam ho jaane ke baad
lauT jaataa huun main ghar naakaam ho jaane ke baad
صبح آتا ہوں یہاں اور شام ہو جانے کے بعد
لوٹ جاتا ہوں میں گھر ناکام ہو جانے کے بعد
सुब्ह आता हूँ यहाँ और शाम हो जाने के बा'द
लौट जाता हूँ मैं घर नाकाम हो जाने के बा'द

isi ik baat par hai ittifaaq-o-ikhtilaaf us se
use aaina aur mujh ko piyaala achchhaa lagtaa hai
hazaar tarah ke the ranj pichhle mausam mein
par itnaa thaa ki koi saath rone vaalaa thaa
jo dil ke taaq mein tu ne charaagh rakkhaa thaa
na puchh main ne use kis tarah sitaara kiyaa
kisi bhi vaqt badal saktaa hai lamha koi
is qadar khush bhi na ho meri pareshaani par
vo log mere bahut pyaar karne vaale the
guzar gae hain jo mausam guzarne vaale the
vo bhi milne nai poshaak badal kar aayaa
main jo kal pairahan-e-khaak badal kar aayaa
aankhon mein meri subh-e-qayaamat gai jhamak
siine se us pari ke jo parda ulaT gayaa
chaman ke phuul bhi tere hi khosha-chin nikle
kisi mein rang hai teraa kisi mein bu teri
shab un ki hai jo teraa khvaab dekhein aur din un kaa
jo baiThe yaad tujh ko subh se taa-shaam karte hain
Tapakte hain shab-e-gham dil ke TukDe dida-e-tar se
sahar ko kaise kaise phuul chuntaa huun main bistar se
shafaq kaa rang kitne vaalehaana-pan se bikhraa hai
zamin o aasmaan ne mil ke unvaan-e-sahar likkhaa
ab kaun si mataa-e-safar dil ke paas hai
ik raushani-e-subh thi vo bhi udaas hai