Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
Tapakte hain shab-e-gham dil ke TukDe dida-e-tar se
sahar ko kaise kaise phuul chuntaa huun main bistar se
ٹپکتے ہیں شب غم دل کے ٹکڑے دیدۂ تر سے
سحر کو کیسے کیسے پھول چنتا ہوں میں بستر سے
टपकते हैं शब-ए-ग़म दिल के टुकड़े दीदा-ए-तर से
सहर को कैसे कैसे फूल चुनता हूँ मैं बिस्तर से

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham ko gham-e-furqat mein do din hi bukhaar aaya
kyaa shakl nikal aai laa-haul valaa quvvat
gham-e-insaan ko siine se lagaa lo
ye khidmat bandagi se kam nahin hai
gham-e-maaal gham-e-zindagi gham-e-dauraan
hamaare ishq kaa charchaa kahaan kahaan na rahaa