Shayari
kar kuchh aisaa ki tujhe yaad rakhun
bhuul jaane kaa taqaazaa hi sahi
kaise kisi ki yaad hamein zinda rakhti hai
ek khayaal sahaaraa kaise ho saktaa hai
کیسے کسی کی یاد ہمیں زندہ رکھتی ہے
ایک خیال سہارا کیسے ہو سکتا ہے
कैसे किसी की याद हमें ज़िंदा रखती है??
एक ख़याल सहारा कैसे हो सकता है

kar kuchh aisaa ki tujhe yaad rakhun
bhuul jaane kaa taqaazaa hi sahi
main is khayaal se jaate hue use na milaa
ki rok lein na kahin saamne khaDe aansu
apne saamaan ko baandhe hue is soch mein huun
jo kahin ke nahin rahte vo kahaan jaate hain
kyaa hai jo ho gayaa huun main thoDaa bahut kharaab
thoDaa bahut kharaab to honaa bhi chaahiye
main ab kisi ki bhi ummid toD saktaa huun
mujhe kisi pe bhi ab koi e'tibaar nahin
apni taaid pe khud aql bhi hairaan hui
dil ne aise mire khvaabon ki himaayat ki hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
us kaa to ek lafz bhi ham ko nahin hai yaad
kal raat ek sher kahaa thaa jo khvaab mein
haan vo din yaad hain jab ham bhi kahaa karte the
ishq kyaa chiiz hai is ishq mein kyaa hotaa hai
hasin yaadon ke chaand ko alvidaaa kah kar
main apne ghar ke andhere kamron mein lauT aayaa
aaj teri yaad se Takraa ke TukDe ho gayaa
vo jo sadiyon se luDhaktaa ek patthar mujh mein thaa