Shayari
vo baad-e-muddat milaa to rone ki aarzu mein
nikal ke aankhon se gir paDe chand khvaab aage
aaj teri yaad se Takraa ke TukDe ho gayaa
vo jo sadiyon se luDhaktaa ek patthar mujh mein thaa
آج تیری یاد سے ٹکرا کے ٹکڑے ہو گیا
وہ جو صدیوں سے لڑھکتا ایک پتھر مجھ میں تھا
आज तेरी याद से टकरा के टुकड़े हो गया
वो जो सदियों से लुढ़कता एक पत्थर मुझ में था

vo baad-e-muddat milaa to rone ki aarzu mein
nikal ke aankhon se gir paDe chand khvaab aage
kabhi jo aankhon ke aa gayaa aaftaab aage
tire tasavvur mein ham ne kar li kitaab aage
us ajnabi se haath milaane ke vaaste
mahfil mein sab se haath milaanaa paDaa mujhe
hasin yaadon ke chaand ko alvidaaa kah kar
main apne ghar ke andhere kamron mein lauT aayaa
mohabbat mein kaThin raste bahut aasaan lagte the
pahaaDon par suhulat se chaDhaa karte the ham donon
mujh ko maalum thaa ik roz chalaa jaaegaa!
vo miri umr ko yaadon ke havaale kar ke
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
ye saal tul-e-masaafat se chuur chuur gayaa
ye ek saal to guzraa hai ik sadi ki tarah