Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
hamein 'jaaved' kyon ghurbat kaa ho gham
amiri mein bhi kuchh raahat nahin thi
ہمیں جاویدؔ کیوں غربت کا ہو غم
امیری میں بھی کچھ راحت نہیں تھی
हमें 'जावेद' क्यों ग़ुर्बत का हो ग़म
अमीरी में भी कुछ राहत नहीं थी

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ye zoraa-zori ishq ki thi fitrat hi jis ne badal Daali
jaltaa huaa dil ho kar paani aansu ban jaanaa kyaa jaane
rokaa thaa dam bhar lahraataa aansu
aa aa gayaa hai daanton pasina
kufr-o-islaam ke jhagDon se chhuDaayaa sad-shukr
qaid-e-mazhab se junun ne mujhe aazaad kiyaa