Shayari
jis ko tum bhuul ga.e yaad kare kaun us ko
jis ko tum yaad ho vo aur kise yaad kare
kis tarah duur hon aalaam-e-gharib-ul-vatani
zindagi khud bhi gharib-ul-vatani hoti hai
کس طرح دور ہوں آلام غریب الوطنی
زندگی خود بھی غریب الوطنی ہوتی ہے
किस तरह दूर हों आलाम-ए-ग़रीब-उल-वतनी
ज़िंदगी ख़ुद भी ग़रीब-उल-वतनी होती है

jis ko tum bhuul ga.e yaad kare kaun us ko
jis ko tum yaad ho vo aur kise yaad kare
taalib-e-khair na honge kabhi insaan se ham
naam us kaa hai bashar us mein hai shar do-baTaa-tin
yaa rahein is mein apne ghar ki tarah
yaa mire dil mein aap ghar na karein
aane vaali hai kyaa balaa sar par
aaj phir dil mein dard hai kam kam
pi loge to ai shaikh zaraa garm rahoge
ThanDaa hi na kar dein kahin jannat ki havaaein
vatan ki sar-zamin se ishq-o-ulfat ham bhi rakhte hain
khaTakti jo rahe dil mein vo hasrat ham bhi rakhte hain
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
zindagi kahte hain jis ko chaar din ki baat hai
bas hamesha rahne vaali ik khudaa ki zaat hai
jis ne ik umr di hai bachchon ko
us ke hisse mein ek din aayaa
pasina maut kaa maathe pe aayaa aaina laao
ham apni zindagi ki aakhri tasvir dekheinge