Shayari
saamne aae binaa us se mukhaatab rahnaa
ek jaadu hai jo aataa hai mujhe sirf mujhe
dastur hi alag hai tiri bazm-e-naaz kaa
ilzaam de ke kah diyaa ilzaam hi to hai
دستور ہی الگ ہے تری بزم ناز کا
الزام دے کے کہہ دیا الزام ہی تو ہے
दस्तूर ही अलग है तिरी बज़्म-ए-नाज़ का
इल्ज़ाम दे के कह दिया इल्ज़ाम ही तो है

saamne aae binaa us se mukhaatab rahnaa
ek jaadu hai jo aataa hai mujhe sirf mujhe
kabhi dariyaa kabhi sahraa banaayaa
kisi ke ishq ne kyaa kyaa banaayaa
jis ke chehre pe main marti huun sitam to ye hai
us ki tasvir hi album mein mire saath nahin
us se baatein to bahut karni thiin par soch liyaa
us ki har baat pe kahnaa hai koi baat nahin
main saamne huun abhi guftugu karo mujh se
ki baad mein miri tasvir dekhte rahnaa
sach puchho to ham ko hamaari
aankhon ne barbaad kiyaa hai
tujh aisi narm garm kai laDkiyon ke saath
main ne shab-e-firaaq Dubo di sharaab mein
ye alag baat ki alfaaz hain mere lekin
sach to bas ye hai ki teri hi sadaa hai mujh mein
firaaq bichhDi hui khushbuon kaa sah na sakein
to phuul apnaa badan paaraa paaraa karte hain
aakhir huaa hai hashr bapaa intizaar mein
subh-e-shab-e-firaaq hui maarvaaD mein
tishnigaan-e-zauq is sahraa-e-hasti se alag
paanv maaro to ubaltaa hai samundar saamne
ek dard-e-judaai kaa gham kyaa karein
kis maraz ki davaa hai tire shahr mein