Shayari
kabhi dariyaa kabhi sahraa banaayaa
kisi ke ishq ne kyaa kyaa banaayaa
sach puchho to ham ko hamaari
aankhon ne barbaad kiyaa hai
سچ پوچھو تو ہم کو ہماری
آنکھوں نے برباد کیا ہے
सच पूछो तो हम को हमारी
आँखों ने बर्बाद किया है

kabhi dariyaa kabhi sahraa banaayaa
kisi ke ishq ne kyaa kyaa banaayaa
jis ke chehre pe main marti huun sitam to ye hai
us ki tasvir hi album mein mire saath nahin
us se baatein to bahut karni thiin par soch liyaa
us ki har baat pe kahnaa hai koi baat nahin
main saamne huun abhi guftugu karo mujh se
ki baad mein miri tasvir dekhte rahnaa
dastur hi alag hai tiri bazm-e-naaz kaa
ilzaam de ke kah diyaa ilzaam hi to hai
saamne aae binaa us se mukhaatab rahnaa
ek jaadu hai jo aataa hai mujhe sirf mujhe
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
main jis mein rah na sakaa ji-huzuriyon ke sabab
ye aadmi hai usi kaamyaab mausam kaa