Shayari
hamesha aap ko samjhaa ki aap apne hain
hamesha aap ne samjhaa ki dusre hain ham
zalzala nepal mein aayaa ki hindostaan mein
zalzale ke naam se tharraa uThaa saaraa jahaan
زلزلہ نیپال میں آیا کہ ہندوستان میں
زلزلہ کے نام سے تھرا اٹھا سارا جہاں
ज़लज़ला नेपाल में आया कि हिन्दोस्तान में
ज़लज़ले के नाम से थर्रा उठा सारा जहाँ

hamesha aap ko samjhaa ki aap apne hain
hamesha aap ne samjhaa ki dusre hain ham
sitam-e-garmi-e-sahraa mujhe maalum na thaa
khushk ho jaaegaa dariyaa mujhe maalum na thaa
qarib rah ki bhi tu mujh se duur duur rahaa
ye aur baat ki barson se tere paas huun main
bikhraa bikhraa huun ek muddat se
rafta rafta sanvar rahaa huun main
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
bhuuk chehron pe liye chaand se pyaare bachche
bechte phirte hain galiyon mein ghubaare bachche
hijr ne us ke hamein bakhshi ghazal
ham firaaq-e-yaar kaa gham kyon karein
hamaare un ke ta'alluq kaa ab ye aalam hai
ki dosti kaa hai kyaa zikr dushmani bhi nahin
tire khilaaf kiyaa jab bhi ehtijaaj ai dost
miraa vajud bhi shaamil nahin huaa mire saath
pyaar gayaa to kaise milte rang se rang aur khvaab se khvaab
ek mukammal ghar ke andar har tasvir adhuri thi